“Dil Ki Gahraai Se Lyrics by Bridge Music” is a Hindi worship song of loving and cherishing Jesus with sincerity every day. Full lyrics are below. Looking for more songs like this? Browse our Hindi Christian song lyrics collection.
Dil Ki Gahraai Se,
Man Ki Sachai Se. – x2
Yeshu Tujhe Chahu Har Dum,
Yeshu Tujhe Pyaar Karu Har Pal. – x2
Shaam Aur Subah Mein Gata Rahun,
Jo Bhi Kiya Tune Mere Liye.
Ghaur Andhkaar Se Main Guzru Bhi To,
Charwaha Hai Tu Kyun Darun Main.
Peechhe Na Hattunga Kabhi Main,
Tu Jo Chahega Karunga Main.
Taku Hamesha Tujhiko Main,
Tere Vachan Se Badunga Main.
Zindagi Bhar Main Rahun,
Teri Chhaaya Mein Prabhu.
Mere Saare Sote,
Tujhme Hi Main Pata Hoon. – x2
Meri Zindagi Teri Amanat,
Tu Hi Mera Pitaah.
Mili Changaai Tere Lahu Se,
Yogya Tu Hai Khuda. – x2
Meri Stuti Ko, Tere Charanon Mein
Itr Ke Sama, Undelunga Main
Tere Charanon Mein. ….
Itr Ke Sama Undelunga Main
Taku Tujhi Ko Main Har Pal,
Tere Vachan Se Badunga Main.
Yeshu Tujhe Chahu Har Dum,
Yeshu Tujhe Pyaar Karu Har Pal.
Zindagi Bhar Main Rahun,
Teri Chhaaya Mein Prabhu.
Mere Saare Sote,
Tujhme Hi Main Pata Hoon. – x2
Explore more worship songs in our lyrics collections.