“Prathna Main Tujhse Karun Lyrics” is a Hindi worship song of prayer and hallelujah praise offered to our beloved Messiah. Full lyrics are below. Looking for more songs like this? Browse our Hindi Christian song lyrics collection.
<div class="entry-content">
<h3>Prathna Main Tujhse Karun</h3>
Ha Halleluyyah Ha Halleluyyah – 2
Chorus
Prathna Main Tujhse Karun,
O Mere Pyare Masiha – 2
Mera Ye Jeevan,
Tere Kaam Aaye – 2
Yahi Hai Meri Tamanna
Prathna Main Tujhse Karun,
O Mere Pyare Masiha
(1)
Dil Ki Gahrayi Se Stuti Krun,
Aaradhna Karun,
Tann Se Aur Mann Se Puri Shakti Se,
Tujhse Main Prem Karun – 2
He Prabhu Yeshu Kitna Pyara Hai Tu,
He Prabhu Yeshu Sabse Accha Hai Tu
(2)
Tera Chahera Jo Sabse Nirmala,
Usko Mai Har Pal Dhundhun,
Tere Sang Rahekar Tujhme Kho Jaun,
Aatma Se Bharta Jaun – 2
He Prabhu Yeshu Kitna Pyara Hai Tu,
He Prabhu Yeshu Sabse Accha Hai Tu
(3)
Kitna Madhur Hai Tera Vachan,
Bhar Aate Mere Dono Nayan,
Dukh Jo Saha Tune Mere Karan,
Bhulunga Na Main Jeevan Bhar – 2
He Prabhu Yeshu Kitna Pyara Hai Tu,
He Prabhu Yeshu Sabse Accha Hai Tu,
Prathna Main Tujhse Karun,
O Mere Pyare Masiha – 2
Mera Ye Jeevan,
Tere Kaam Aaye – 2
Yahi Hai Meri Tamanna
Prathna Main Tujhse Karun,
O Mere Pyare Masiha
</div>
Explore more worship songs in our lyrics collections.