Verse 1
Tu woh Khuda nahi, mujhko dard dekar
Khush ho jaaye
Tu woh Pita nahi, mujhko aansu dekar
Chain se so jaaye
Chorus
Abba Khuda, tu hain mera
Abba Pita, tu hain mera
Ke main khush ho toh, tu khush hota hai
Main bhi roon toh, tu bhi rota hai
Verse 2
Chot mujhko lage, dard tujko hota hai
Mere aansu ke pehle, tera aansu behta hai
Haathon ko tham kar, mujhe chalata hai
Apni baahon mein, mujhe uthata hai
Apni baahon mein, hardam uthata hai
Verse 3
Aawaz du, tu dauda aata hai
Saans lene ke pehle, tu hazir hota hai
Dhaal bankar meri, raksha tu karta hai
Apni nigaahon mein, hardum tu rakhta hai
Apni panaho mein, hardum tu rakhta hai
Click to rate this!
[Total: 0 Average: 0]