Kroos Pe Usko Latka Ke Mara (क्रूस पे उसको लटका के मारा) - English/Hindi

Kroos Pe Usko Latka Ke Mara (क्रूस पे उसको लटका के मारा) - English

“Kroos Pe Usko Latka Ke Mara (क्रूस पे उसको लटका के मारा)” is a Hindi worship song recounting the crucifixion, the crown of thorns and the blood poured out for us. Chords and lyrics are below. Looking for more songs like this? Browse our worship song collections.

Shanon Milton, Rajinald Vijay Milton, Shawn Milton

C#m
Kroos pe usko latka ke mara
                       B
Sar par thha kaanto ka taaj

F#m
Bhale ko uski pasli mein ghopa
G#                  C#m
Nikli thhi khoon ki dhaar
Kroos pe usko latka ke mara

C#m              A
Apno se dhokha mila
B              C#m
Inkaar sabne kiya
                   A
Kroos kroos karke use
B                  C#m
Choro sang latka diya

Bhale ko uski pasli pe...

Kodo se peeta gaya
Sab kuch wo sehta raha
Kuch bhi na muh se kaha 
Khoon se lathpath hua

Bhale ko uski pasli pe...

Maar kha kar pukara yeshu ne
Hey baap maaf kar de inhe
Nahi jaante ki kya kar rahe
Aur ve yeshu pe Hasste rahe 

Bhale ko uski pasli pe...

Ek ma se uska beta liya
Uske aaso vo na poch saka 
Keelon se usko thoka gaya
Chhed ma ke dil mein hua

Bhale ko uski pasli pe...

Mere gunaho ka bhaar
Mere yeshu masih ne liya
Uske lahu se mujhko mila
Paak rooh ka massa aur shifa

Bhale ko uski pasli pe...

Explore more worship songs in our lyrics collections.

Click to rate this!
[Total: 0 Average: 0]

Kroos Pe Usko Latka Ke Mara (क्रूस पे उसको लटका के मारा) - Hindi

Please Rate Kroos Pe Usko Latka Ke Mara (क्रूस पे उसको लटका के मारा)