“Mere Liye Yahowa Ki Bhalayi Lyrics” is a Hindi worship song trusting that the Lord’s goodness for us is endless and never runs out. Full lyrics are below. Looking for more songs like this? Browse our Hindi Christian song lyrics collection.
<div class="entry-content">
<h3>Mere Liye Yahowa Ki Bhalayi</h3>
Chorus
Mere Liye Yahowa Ki Bhalayi,
Kaafi Hai Khatam Nahi Hogi,
Main To Uske Hi Pichhe Chalunga,
Uski Karuna Khatam Nahi Hogi – 2
(1)
Usne Naam Leke Mujhko Pukara,
Mere Prabhu Ne Diya Chhutkara,
Meri Aankho Ko Khola Prabhu Ne,
Usne Door Kiya Saara Andhiyara – 2
Apna Darshan Diya,
Mujhe Maksad Diya – 2
Mera Prabhu Mera Saccha Sahara – 2
Chorus
Mere Liye Yahowa Ki Bhalayi,
Kaafi Hai Khatam Nahi Hogi,
Main To Uske Hi Pichhe Chalunga,
Uski Karuna Khatam Nahi Hogi
(2)
Jab Main Girta Wo Mujhko Uthata,
Mere Saare Gunah Mitata,
Apne Aatma Se Bharta Wo Mujhko,
Mera Haath Pakad Kar Chalata – 2
Wo Hai Saccha Khuda,
Wo Hai Jinda Khuda – 2
Mera Prabhu Mera Saccha Sahara,
Han Mera Prabhu Mera Saccha Sahara
Chorus
Mere Liye Yahowa Ki Bhalayi,
Kaafi Hai Khatam Nahi Hogi,
Main To Uske Hi Pichhe Chalunga,
Uski Karuna Khatam Nahi Hogi – 2
</div>
Explore more worship songs in our lyrics collections.