Stuti Prashansa Hamare Yeshu Ki (स्तुति प्रशंसा हमारे यीशु की) - English/Hindi

Stuti Prashansa Hamare Yeshu Ki (स्तुति प्रशंसा हमारे यीशु की) - English

“Stuti Prashansa Hamare Yeshu Ki (स्तुति प्रशंसा हमारे यीशु की)” is giving praise, honor and glory to our Jesus, gathered together. Chords and lyrics are below. Looking for more songs like this? Browse our worship song collections.

Unknown

Am                Dm
Stuti prashansa hamare yeshu ki
G                  Am
Aadar aur mahima hamare yeshu ki
    G                Am
Aao milkar gayen hum hallelujah
    G                Am
Aao milkar gayen hum hallelujah

Am             F
Rajaon ka raja yeshu raaja hai
G                  Am
Prabhuon ka prabhu yeshu prabhu hai
                   Dm
Sare jagat mein vo pyaar karta hai
G                Am
Anant jeevan woh sabko deta hai
    G                Am
Aao milkar gayen hum hallelujah
    G                Am
Aao milkar gayen hum hallelujah

Bimar usako chookar change hote hai
Paapi usake naam se uddhar paate hai
Sare jagat se pyar karta hai
Anant jeevan woh sabko deta hai
Aao milkar gayen hum hallelujah
Aao milkar gayen hum hallelujah

Baadalon par yeshu aane wala hai
Vishwasiyon ko le jane wala hai
Uske sath rehna yeh kitna aanand hai
Uski stuti karna kaisa saubhagya hai
Aao milkar gayen hum hallelujah
Aao milkar gayen hum hallelujah

Explore more worship songs in our lyrics collections.

Click to rate this!
[Total: 0 Average: 0]

Stuti Prashansa Hamare Yeshu Ki (स्तुति प्रशंसा हमारे यीशु की) - Hindi

Please Rate Stuti Prashansa Hamare Yeshu Ki (स्तुति प्रशंसा हमारे यीशु की)