Verse 1
Tujhsa iss jahan mein aur koi hai nahi
Tujh bin aasra mera hai na kahin
Rahoon teri bahon mein priyatam mere
Tu hi mera sarvasv Yeshu mere
Chorus
Aaradhana teri aaradhana
Yeshu mere teri aa-ra-dhana
Verse 2
Arpan karta hoon khud ko hathon mein tere
Dho de mujhko tu prabhu vachanon se tere
Teri ichchha par hi tu mujhko chala
Bhar de pavitra aatma se mujhko khuda
Chorus
Aaradhana teri aaradhana
Yeshu mere teri aa-ra-dhana
Verse 3
Chalta main rahoon teri rahon par sada
Banke rahbar mera tu chalna sang khuda
Tujh par hi bana rahe mera bharosa
Tu meri chattan rahoon tujhme sthir sada
Chorus
Aaradhana teri aaradhana
Yeshu mere teri aa-ra-dhana
Click to rate this!
[Total: 1 Average: 5]